लाल किताब उपाय फेल क्यों ? सात बातें हैं इसका कारण - सावधान ! नुकसान भी ...

Lal kitab ke upay fail qyu hote hain 

Lal kitab ke upay, pharman ya totke bahut chalan me hain aajkal. Lekin iska pata hi nahi ki upay kaun kare, kaise karen, kab kare. Dusre kisi ke liye theek se unko dekha bhi gaya hai ya nahi. Savdhan rahen agar kuch baaten, vishesh roop se yeh 7 baaten, yadi theek se samjhkar amal nahi kari jatin hain to labh ke sthan per haani bhi ho sakti hai. Pandit Roop Chand Joshi, gram Pharwala, District Jullandhar ke dwara liki gaee LAL KITAB vastav me samudrik aur jyotish shastra ka ek anupam granth hai. Sarkari naukri me hone ke karan Pt Joshi ji pustak ka adhik prachar-prasar nahi kar paaye. Unke bhai Pandit Girdhari lal aur unke bete ne lal Kitab ka publishers ki sahayta se khoob prachar-prasar kiya.

Jab se media ka chalan hua tab se to Lal kitab ka gali-gali asar dikhaee dene laga. Parantu Lal Kitab ke  upay batane wale adhikansh log aur karne wale dono hi inki proper vidhi aur niyam sarvtha bhool gaye. Is karan se hi ye upay proper result nahi de pa rahe. Yeh bhi dhyan rakhkar savdhan rahen ki vidhi ke bina kiye gaye upay vipreet phal ya anarth bhi kar sakte hain.

I have given in this video the brief description of LAL KITAB. Also given that why we are not getting proper results from these upay or totke. I have found seven main reasons. We in general ignore these rules of Lal Kitab.

This video will be very useful for those who are really interested to go in deep knowledge of this unique and marvellous method for the betterment of mankind.
https://youtu.be/0LmmhfovHu0
8Raaam gopal raju gopal raju motivational videos

टिप्पणियाँ